Tuesday 7 July 2015

Ahsaas



Badhti mehengayiyon se pareshan hai kamai,
Moha maya me hai poori duniya samai.
Kya badh gayi hai manavi zarooratein?
Ya kabza kar rahe hain adhuri chahatein...

Zaroorat hai bas do waqt ki roti aur ek pyara sa makaan,
Par inke aage baste hain ab kai sare makaam.
Bikhar gayi hai khwahishon ki seema,
Bhool chuke hain hum bas yunhi jeena.

Daudaane lagi hai zindagi ki raftaar,
Khokli mahatvakankshaoon ka chadha hai bukhaar.
Apnate hain bejhijak nashe ki davai,
Paraai si lage apni hi parchai.

Jo tham jao ek pal zindagi ke sath,
Milenge tumhe badhaate hue kain haath.
Dhoondte rehta hai swabhavi insaan,
Apni hi sachhai mein lekin paata hai pehchaan.

No comments:

Post a Comment